"नाम" नागेश जय गुरुदेव (दीपक बापू)

बुधवार, 30 मार्च 2016

GURU

Abb iske aage hum Guru ke vakhaan ko apne shabdo me utarne ki koshish karenge


GURU
Guru taaro paar na paayo prithvi na maalik tame taaro to ame tariye….


Guru Brahma Guru Vishnu Guru Devo Maheshwaraaa…..


Guru Bin kachu upaje nahi bhakti vakti ko mool Ravi kahe jo patthar boya khet me to aave nahi phaguni phool….


Guru Gunga Guru Baawra Guru Devan Ka Dev Hoye Jo Chele Me Shakti To kare Guru ki Sev….


Guru Mila to sab mila aur na milya koye
Kyoki Sud Dara aur Lakshmi Ye To Paapi Jan ke Bhi Ghar me Hoye…


Saat Samundar Shaahi Karu Lekhani Sab Vanraay
Sab Dharti Kagad karu Toy Guru Gun Likhaa Na Jaaye…


Aur na jaane kya kya kah gaye Sant log aur yakeen maaniye isme ek bhi baate jhuthi nahi hai hum jitna chahe utna likhte hi jaaye magar guru ki mahima aank nahi sakte hai sirf ehsaas anubhuti hi hai Guru ke hone ki Guru ke mahatmya ki koi aisa vyakti iss duniya me kya uss duniya me bhi nahi hai jo guru ke Mahatmya ka vakhaan kar sakte ho sirf aur sirf kuch shabdo me vaani me uske Guno ka kuch ansh hi aa pata hai Chand shabdo me kaha jaye to itna hi likh sakte hai ki Guru taaro paar na paayo yaa Guru hi sab kuch hai yaa kahe Guru hi bhagwan swarup hai magar Guru ki bakhaan kar pana sahi me bahut hi mushkil hai is mushkil ko mei mere shabdo me sajhaaa kar raha hoo ek nazar me


Guru dehdhari ki hum baat kar rahe hai Guru Woh tattva hai jo sabhi tattvo se paripurna hi nahi apitu unke upar hai Guru karmo ke upar hai Guru paanch tattvo pachhis prakriti ke pare hai 3 guno ke upar vijay prapt kar chuka hai itni si baate hi guru ko kaha se kaha pahucha chuki hai ye koi bhi gurumukhi vyakti samajh hi sakta hai
Guru hamare anant vicharo ka ek jawab hai uske ek ek shabd ek ek drishti ya drishyaant hamare andar kitne hi vichaaro ko janma de deti hai kitne vichaaro ke jawab de deti hai kayi prakar ke bandhano se mukta kar deti hai jiski koi seema nahi hai jiski koi target nahi hai


Guru ke liye ek simple sa udaharan hai jinhe mein mera Guru Manta hoo “Shree Deepak Baapu” unki vaani ke chalte hum unhe prem purvak “Deepudaan” bhi kehte hai
Ek baar jab ye sabhi baate mere irda girda ghumne lagi ki koi param tatva haijise hum dekh sakte hai yog kriya me possibility hai naad boond ye sab baate jaise jaise vaaniyo me khulne lagi mere vichaaro ne prashno ko janma dena shuru kiya aur naa jaane kaise kaise prashna uthate the ki bachkane jaise aap logo ko bata bhi nahi sakta hoo unke upar to jaise sawaalo ki barish hi kar di ho maine magar sabhi prashno ko unhone suna aur samjha aur itne saare sawalo ka 2 baat me jawab de diya ki jo bhi sawal tum kar rahe  ho uska simple saa jawab hai ki ye sabhi chize hai dhyaan lagao milenge aur dusre shabda the ki Life me kabhi bhi Common Baato ke liye Prashna Karne hi nahi chahiye For Eg. Carrom khelna hai to usme ye question ki 9 kaali 9 safed kyo hai ek queen kyo hai 4 khaane kyo hai ye kisne decide kiya kisne kehne pe ye game bana kisne 4 holes ko manyata di iska agreement kaha huaa jis team ne isse manyata di unhe manyata kaha se mili ye sab faltu question hai inka koi jawab ho ya naa ho alag baat hai magar ye sabhi sawal ka game khelne se koi matla nahi nikalta hai jaise ki dusre shabdo me kahoo to Bike chalana agar sikhna chahte ho to chalana sikho uske liye naa nahi hai magar uske tyre ka invention kisne kiya puri bike ka invention kisne kiya gear kisne banaya break kisne banaya ye sab janane ki jarurat bike chalane ke liye hai hi nahi bike chalane ke liye road ke niyam aur  bike ke andar lage huye yantro ko control karna sikhna hota hai agar unke inventor ke bare me aap ko bata diya jaaye to bhi sirf batane bhar se aap bike chalana nahi sikh sakte hai uske liye aap ko bike pe baith ke uske gear break cluch ko mehsoos karna hoga aur practically use chala ke dekhna hoga aur yaha jo sawal honge ki cluch kab chhodi jaye kaun sa gear rakhaa jaye woh jawabdehi ho sakte hai par uske pehle yadi aap inventor ke baare me poochhenge to shayad hi 10000 me se koi ek jawab janta hoga woh bhi poore nahi to iska matlab ye nahi ki use bike chalane nahi aati yaa bike ke bare me woh janta hi nahi hai thik usi prakar bhagwan ke darshan dhyaan awastha me karnewala aap ko rasta bata sakta hai chalne ke pehle hi use dhyaan ki kriya me kitna time lagega dhyan karne pe nahi mila to kya karne ka dhyaan me jo prakash dikhta hai woh mangadhant to nahi hai ye sab kahin hamare dimag ka banaya huaa khel to nahi hai scientific reasons hai inke pichhe ye sab dhokha hai swapna hai ye sab quesiton faltu hai koi artha nahi hai inkaa dhyaan lagao mehsoos karo aapko khud anubhuti hogi sach aur jhuth ka parda uthega magar jyadatar log in baato ko hazam nahi kar pate hai kyo ki unke pass guru hota nahi hai agar hota hai to puraa nahi hota hai kyoki pura guru shishya ke har baat ka jawab jaanta hai woh Un har jagah se guzar chuka hota hai jaha shisya aaj chalna chahta hai ek level tak Guru har un sawalo ka jawab de sakta hi hai jaha tak Shisya ko jarurat hai uske baad aage badhna Shishya ka kaam hai!
Jyadatar dekha gaya hai kayi udaharan hai dekhne ke liye jaha Shishya Guru Se Aage Nikal gaye magar kya iska matlab Guru Kam Pad Gaya Nahi Guru Ne hi kripa ki hai guru ne hi margdarshan diya hai jiske karan woh log aaj uss mukam pe pahuch paye hai Isiliye Guru Ki Mahatta to kahi se bhi kam nahi hoti hai...

1) Guru taaro paar na paayo prithvi na maalik tame taaro to ame tariye….
in shabdo ko sab se pehle likha hai maine yaha pe iska matlab dekhne me aur samajhne me bahut hi simple lagta hai par yaha baat agar dekhi jaaye to tyaag ki hai abb hum sochenge ki ye tyaag kya hai kis tyaag ki baat ho rahi hai to ek baar fir se dekhiye ki "Guru Taaro Paar Na Paayo Prithvi na maalik tame taaro to ame tariye" waah waah kya baat hai bass iss ek line ki madhurta tyaag samarpan ki bhavna isko saar me mein apne shabdo me samjhane ki koshish karta hoo ki Guru Jise hamne maana hai sirf maan lene bhar se yaa bol dene bhar se hum purna nahi hote hai Is pankti me Prithvi Yaane ki Sharir Hai Hamari "Deh", Sabhi jaante hai ki Santo ne jo bhi baate kahi hai, woh sabhi ki sabhi Apne Sharir se related hi hai isi "3 1/2" Haath ke andar poori ki poori shrusti unhone bataayi hai iss pure sharir ko hi unhone prithvi kaha hai aur yaha is pankti me bhi wahi baat aayi hai ki Jab Guru Karo To apne aap ko poori tarah se uske haatho me soup do poori tarah se uske prati supurd ho jaao use hi apna maalik samajh lo aur jis tarah se maalik ki har baat ko mante hai thik usi tarah se us malik ki puri baat ko maano, uske har ek vachan shabdo ko aadesh maano aur poora karo! Woh hi tumhe taarega, bhav paar utarega, woh Guno ka bhandaar hai, Uske Guno ki koi sankhya nahi hai, usme udaarta ki koi seema nahi hai tyaag me uske jaisa koi nahi hai uske paar paana mushkil hai uski chhatra chhaya me hamara uddhar hi hoga hame kabhi bhi kisi vastu ki kami mehsoos nahi hogi Bass Guru naam ki mala hi kaafi hoti hai 84 ko paar paa jane ke liye

2) Guru Brahma Guru Vishnu Guru Devo Maheshwaraaa…..



गुरुर्ब्रह्मा गुरुर्विष्णुर्गुरुर्देवो महेश्वरः
गुरुरेव परं ब्रह्म तस्मै श्रीगुरवे नमः ॥१॥


Yah ek sanskrut me likha huaa shlok hai jo jyadatar bachche bachche ke jubaan par hota hi hai is shlok me bataya gaya hai ki Guru ki upadhi ki koi varnan nahi hai Guru hi Sakshat Parmeshvar ka Swarup hai Guru Shrushti ke rachaita Brahma Uske Palak Shree Vishnu Aur uske Samharak Devo ke dev Mahadev Shree Mahesh Ke Samaan HaiGur Swayam Parbrahma ke Saman Hai Aur aise Gurudev Ko Main Naman Karta hoo..
Bahut hi adbhud lekh jiski koi tulna hi nahi hai iss tarah se Guru ko darshaya gaya hai yaha par


3) Guru Bin kachu upaje nahi bhakti vakti ko mool Ravi kahe jo patthar boya khet me to aave nahi phaguni phool….


Guru Bina kuch upaje nahi… iss pankti me Guru ki mahatta ko darshaya gaya hai ki vyakti ke jeevan me Guru ka kitna mahattva hota hai! Guru Ke bina naa hi bhakti poori ho pati hai naa hi mukti ho pati hai kyoki guru hi margadarshan karta hai in sabhi baato me, uske dwara dikhaya gaya rasta hi apne ko sahi manzil tak pahuchata hai! Prastut Saakhi Shree Ravi sahab ki hai Jisme unhone apne shabdo me Guru ki mahatta ko bataya hai Guru ke bina rehna thik usi prakar hai jaise patthar ko khet me bokar Kisi Upaj ki Apeksha karna jo ki nahi hone wala hai
Guru Karne pe hamare me woh uss beej ko, uski saadhna ko, uske yog ke phalit beej ko daal deta hai jiske karan hamare me uske phal lagte hai aur hum uski daali ke ek phal ki bhaanti ban jaate hai jo apne andar bi ek beej ko sama ke rakhta hai

4) Guru Gunga Guru Baawra Guru Devan Ka Dev Hoye Jo Chele Me Shakti To kare Guru ki Sev….

Yaha pe prastut pankti me chele ki pariksha(Exam) aisa kuch hi samajh lo inhe meine mere shabdo me hi samjhane ki koshish ki hai isiliye agar kisiko koi baat galat lage to kripya karke mujhe message comment kare taki main usme sudhar laa saku... haan to! baat aisi hai ki Guru Kisi Vishay me kuch jaldi bolta nahi hai, woh apne aap me ek madmast haathi jaisa hi hota hai ek nashe me jhumta huaa vyakti aap ne dekha hoga woh apni masti me hota hai jab tak uske aage aap na jaao yaa use naa toko tab tak woh apne aap me hi hoga usko tokne ke baad me bhi tokne waale ki kshamta (capacity) pe depend karta hai ki woh vyakti tokne wale ko jawab dega yaa apni masti me rahega;, same situation Guru ki bhi hoti hai "Devan Ke Dev" yaa keh sakte hai ki Devo ke Dev Jo ki hum sabhi jaante hai "MAHADEV" hai aur iss bare me kisiko batane ki avashyakata to nahi hai ki devo ke dev Mahadev kaise hai madmast apni duniya me mashgool ani samadhi me ramte huye Chaud Lok ki khabar rakhte huye, Bhoot, Bhavishya, Vartman ke gyaata itna hote huye bhi nirbhik, befikra ban ke apni avastha me hi rehte hai aur tab tak uss avastha ko vishram nahi dete jab tak koi patra unke samne naa aaye...
thik usi tarah Guru Dev bhi apne aap me hi hote hai aur jab tak koi Supatra Chela unke samaksha apne aap ko nahi rakhta hai, nahi sabit karta hai tab tak unke bhi gyaan ka pitara nahi khulta hai aur jab chela apni shakti(Samarthya) se guru ko rijhaane me kamiyab ho jata hai to uss chele ko sahi gyaan, marg darshan, guru se prapt hota hai! 
Guru Ki mahima ka varnan kar pana sahi me bahut mushkil hai fir bhi mujhse jitna ho pa raha hai main apni taraf se usko yaha likhne ki koshish kar raha hoo aur is vishaya ko hum aage leke jaate rahega..MORE












कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें

Please inform direct to admin if things are not proper